Poet

bushra-ejaz

1932

4  GHAZAL5  SHER7  NAZM

Real Name: bushra-ejaz

Born: 1932

Bushra Ejaz is a contemporary poet whose work has garnered attention for its emotional depth and lyrical beauty. Known for her ability to weave intricate narratives through her verses, Ejaz explores themes of love, identity, and the complexities of the human experience. Her poetry often reflects a keen awareness of societal issues, delving into the struggles and triumphs of individuals navigating the challenges of modern life.

Ejaz’s writing is characterized by its vivid imagery and evocative language, drawing readers into a world where feelings are expressed with both intensity and grace. She has a unique talent for capturing fleeting moments and transforming them into profound reflections on life, love, and loss. Her verses resonate with a sense of authenticity, inviting readers to connect with their own emotions and experiences.

In addition to her exploration of personal themes, Bushra Ejaz often addresses broader social issues, using her poetry as a platform for advocacy and awareness. Her commitment to highlighting the voices of the marginalized and the struggles of everyday life adds a layer of depth to her work, making it not only a form of artistic expression but also a call for empathy and understanding.

GHAZAL OF bushra-ejaz

mohabbat mein koi sadma uThana chahiye tha

mohabbat meñ koī sadma uThānā chāhiye thā
bhulāyā thā jise vo yaad aanā chāhiye thā

girī thiiñ ghar kī dīvāreñ to sehn-e-dil meñ ham ko
gharauñde kā koī naqsha banānā chāhiye thā

uThānā chāhiye thī raakh shahr-e-ārzū kī
phir is ke ba.ad ik tūfān uThānā chāhiye thā

koī to baat karnā chāhiye thī ḳhud se āḳhir
kahīñ to mujh ko bhī ye dil lagānā chāhiye thā

kabhī to ehtimām-e-ārzū bhī thā zarūrī
koī to ziist karne kā bahānā chāhiye thā

mirī apnī aur us kī aarzū meñ farq ye thā
mujhe bas vo use saarā zamāna chāhiye thā

meri raat mera charagh meri kitab de

mirī raat merā charāġh merī kitāb de
mirā sahrā bāñdh le paañv se mujhe aab de

mire nukta-dāñ tirā fahm apnī misāl hai
maiñ huuñ ek saada savāl koī javāb de

mirī chashm-e-nam kisī ratjage meñ ulajh ga.ī
mirī niiñd oḌh le raat bhar mujhe ḳhvāb de

mire goshvāre meñ kaun bhartā gayā lahū
ai mirī talab mujhe har ghaḌī kā hisāb de

mire bahr o bar ko sameT le mire kūza-gar
mujhe an-kahī mujhe āgahī kā azaab de

manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye

manzaroñ ke darmiyāñ manzar banānā chāhiye
rahnavard-e-shauq ko rasta dikhānā chāhiye

apne saare rāste andar kī jānib moḌ kar
manziloñ kā ik nishāñ bāhar banānā chāhiye

sochnā ye hai ki us kī justujū hone talak
saath apne ḳhud raheñ ham yā zamānā chāhiye

terī merī dāstāñ itnī zarūrī to nahīñ
duniyā ko kahne kī ḳhātir bas fasānā chāhiye

phuul kī pattī pe likkhūñ nazm jaisī ik duā
haath uThāne ke liye mujh ko bahānā chāhiye

vasl kī koī nishānī hijr ke bāham rahe
ab ke saada haath par mehñdī lagānā chāhiye

phuul ḳhushbū rañg jugnū raushnī ke vāste
ghar kī dīvāroñ meñ ik rauzan banānā chāhiye

shaam ko vāpas palaTte tā.eroñ ko dekh kar
sochtī huuñ lauT kar ab ghar bhī jaanā chāhiye

dil mein hai talab aur dua aur tarah ki

dil meñ hai talab aur duā aur tarah kī
hai ḳhāk-nashīnī kī sazā aur tarah kī

jab raakh se uTThegā kabhī ishq kā sho.ala
phir pā.egī ye ḳhaak shifā aur tarah kī

jaate hue mausam kī to pahchān yahī hai
dastak meñ mujhe degā sadā aur tarah kī

hai hijr kā pairāya-e-fan aur tarah kā
aur vasl-kahānī hai zarā aur tarah kī

shab bhī hai vahī ham bhī vahī tum bhī vahī ho
hai ab ke magar apnī sazā aur tarah kī

SHER OF bushra-ejaz

No Sher found for this poet.

E-BOOKS

No E-Books found for this poet.