āñkhoñ meñ laal Dore se paḌte chale ga.e
aañsū ye kis hunar se pirotā rahā ġhazāl
1996
A renowned young poet whose poetry combines old traditions with...Real Name: Faisal Fehmi
Born: 1996
Shah Faisal Mushtaq, known by his pen name Faisal Fehmi in the literary world, is a bright and talented young poet from the beautiful valley of Kashmir. He has studied engineering, but he chose to follow his passion for poetry and philosophy as the main purpose of his life. Although he is skilled in engineering, his decision to become a poet and philosopher came from his own choice, and this choice gave a new direction to his life.
His style of poetry is connected to traditional forms, but his thoughts reflect the new and modern ideas of today’s times. Faisal Fehmi is a young and brilliant poet who spends his days solving worldly problems and working for the well-being of others. However, as night falls, he loses himself in the world of creativity.
During the quiet hours of the night, his pen brings heavenly and dreamy thoughts to life, taking his poetry on a journey from the earth to the stars Faisal Fehmi’s poetry is not just a collection of words but a journey of thoughts that combines old traditions with modern ideas. His writing has a special power to connect readers with deep feelings, blending happiness, sadness, and the balance between reality and imagination.
GHAZAL OF Faisal Fehmi
ik nazar muḌ ke mujhe dekh ai jaane vaale
ye jo lamhe haiñ kabhī phir nahīñ aane vaale
kitnī pākīza jagah hai ki jahāñ par logoñ
ahl-e-maqtal haiñ mirī laash jalāne vaale
ġham-e-daurāñ ke masā.ib kā mudāvā kyā hai
ishq bas ishq batāte haiñ batāne vaale
yahī sab log haiñ in sab ne mirā qatl kiyā
ye mirī qabr ko phūloñ se sajāne vaale
maiñ ne ye baat bahut der se jaanī ‘fahmī’
saare va.ade nahīñ hote haiñ nibhāne vaale
kyuuñ āsmān-e-hijr ke taare chale ga.e
ab kyā huā jo ḳhvāb tumhāre chale ga.e
saaqī ke dar pe aaj baġhāvat ke shor meñ
ham jaam jaam jaam pukāre chale ga.e
rūThā huā hai chāñd bahut āftāb se
aur chāñdnī ko DhūñDne taare chale ga.e
is dast-e-iḳhtiyār meñ ik jaan hī to thī
ham tum pe apnī jaan ko vaare chale ga.e
be-mehr zindagī kā guzārā na ho sakā
ham baar baar ishq meñ haare chale ga.e
suno ḳhāmosh hī hastī mirī tum se judā hogī
ki ab har ik fariyād-e-ināyat be-navā hogī
kisī fard-e-mohabbat se bhalā ummīd kyā rakhnā
mohabbat bevafā thī bevafā hai bevafā hogī
purāne kāġhazoñ pe darj merī shā.irī shāyad
kisī majrūh dil ke zaḳhm kī maa.il ridā hogī
karoge zulm kab tak mashvara hai baaz aa jaao
bahut pachhtāoge tum zulm kī gar intihā hogī
tajassus chhoḌ de tum qais-o-lailā sī mohabbat kā
kī daur-e-nau kī har tamsīl-e-ulfat bevafā hogī
ishq kī aaj intihā kar do
ruuh ko jism se judā kar do
hai ḳhulāsa yahī mohabbat kā
ho jo achchhā use burā kar do
ye jo āñkhoñ se ḳhuun jaarī hai
is ko hāthoñ kī tum hinā kar do
vaqt-e-ruḳhsat gale lagā lenā
āḳhirī baar ye ḳhatā kar do
tum mujhe chhoḌ kyuuñ nahīñ detī
apne haq meñ to faisla kar do
shabnamī raat ke añdhere ko
barahna jism kī qabā kar do
ab uThā do naqāb chehre se
raat ko chāñd se ḳhafā kar do
hai ki dushvār zindagī ‘fahmī’
ḳhud ko bīmār bā-ḳhudā kar do
aur to kuchh nahīñ kiyā hogā
maiñ ne phir maut ko jiyā hogā
us ke sāgar se lab lagā.e the
us ne ik ghūñT to piyā hogā
aaj bulbul ne us chamelī se
jaane kyā kaan meñ kahā hogā
ek baaqī charāġh thā achchhā
us ko tum ne bujhā diyā hogā
kuchh dinoñ qabl tak nayā thā maiñ
ab jo hai āj-kal nayā hogā
SHER OF Faisal Fehmi
āñkhoñ meñ laal Dore se paḌte chale ga.e
aañsū ye kis hunar se pirotā rahā ġhazāl
duur se yuuñ diyā mujhe bosa
hoñT kī hoñT ko ḳhabar na huī
jo un ko lipTā ke gaal chūmā hayā se aane lagā pasīna
huī hai bosoñ kī garm bhaTTī khiñche na kyūñkar sharāb-e-āriz