Poet

Inaam azmi

1997

A young, emerging poet, known for expressing spontaneity and inner...

Real Name: Inaam azmi

Born: 1997

Inam Azmi hails from Bihar province. He was born on April 15, 1997 in Pokhara, Sitamarhi District, Bihar. Obtaining his primary education from there, he has done Engineering from Civil Branch and are currently employed as an Engineer. As far as Inam Azmi’s poetry is concerned, in a very short time he has made his mark in the world of Urdu poetry with his unique style and unique ideas.

Still very young, he has emerged as an important link in the recent wave of poetry in this short lifetime. The simple, lively and straightforward style found in Inam Azmi is an important feature of our modern poetry. Reading the sincerity and restlessness in his poems, it seems that he is expressing our heartfelt feelings. His poetic expressions are so in tune with his inner feelings that they seem to us to be the eternal song of nature.

GHAZAL OF Inaam azmi

tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe

tasavvurāt meñ vo zoom kar rahā thā mujhe
bahut shadīd tavajjoh kā sāmnā thā mujhe

chamak rahā thā maiñ sūraj ke misl is liye dost
kahīñ pe jā ke añdhere meñ Dūbnā thā mujhe

mujhe vahāñ se udāsī bulā rahī thī aaj
jahāñ se shām-o-sahar koī dekhtā thā mujhe

phir us ko jā ke batānā paḌā ġhalat hai ye
samajhne vaale ne kyā kyā samajh rakhā thā mujhe

guzar na paayā thā jo ‘jaun-elia’ se bhī
tumhāre ba.ad vo lamha guzārnā thā mujhe

lahūluhān hue jā rahe the har manzar
kisī ne vaqt ke māthe pe yuuñ likhā thā mujhe

maiñ apnī niiñd agar TūTne nahīñ detā
us ek ḳhvāb se har vaqt TūTnā thā mujhe

jaisa socho waisa matlab hota hai

jaisā socho vaisā matlab hotā hai
halkī baat kā gahrā matlab hotā hai

chehra paḌh kar dekhoge to jānoge
ḳhāmoshī kā kyā kyā matlab hotā hai

hijrat ko tum naql-e-makānī kahte ho
hijrat kā mar jaanā matlab hotā hai

apnī baat mukammal kar ke jaao tum
aadhī baat kā ulTā matlab hotā hai

shahzādī hai duniyā matlab vaalī ye
sab kā apnā apnā matlab hotā hai

samajhne wala mera martaba samajhta hai

samajhne vaalā mirā martaba samajhtā hai
so farq paḌtā nahīñ kaun kyā samajhtā hai

ye terī chāragarī merī jaan le legī
na tū mujhe na mirā mas.ala samajhtā hai

maiñ apnī maut ko ab zindagī samajhtā huuñ
maiñ kyuuñ samajhtā huuñ merā ḳhudā samajhtā hai

maiñ ab kahānī se bāhar nikalnā chāhtā huuñ
kahānī-kār mirā mudda.ā samajhtā hai

vo is liye bhī palaT kar kabhī na aa.egā
vo merā haal mirā faisla samajhtā hai

maiñ kah rahā huuñ mujhe thoḌā soch kar samjho
ki ye lage mujhe koī ḳhalā samajhtā hai

zamāna kuchh bhī samajhtā nahīñ hai sach hai ye
isī liye to tujhe bhī mirā samajhtā hai

kaun hai mera KHaridar nahin dekhta main

kaun hai merā ḳharīdār nahīñ dekhtā maiñ
dhuup meñ sāya-e-dīvār nahīñ dekhtā maiñ

ḳhvāb palkoñ pe chale aate haiñ aañsū ban kar
is liye tujh ko lagātār nahīñ dekhtā maiñ

terā is baar mujhe dekhnā bantā hai dost
itnī ummīd se har baar nahīñ dekhtā maiñ

kab talak tujh ko yūñhī dekhte rahnā hogā
zindagī jā tujhe is baar nahīñ dekhtā maiñ

vo koī aur haiñ jo hasb-o-nasab dekhte haiñ
maiñ mohabbat huuñ mire yaar nahīñ dekhtā maiñ

haa.e vo log jo bas dekhte rahte haiñ mujhe
jin kī jānib kabhī ik baar nahīñ dekhtā maiñ

ġhaar se niklī huī raushnī pursa to kar
aa mujhe dekh huuñ bīmār nahīñ dekhtā maiñ

jis taraf dekhiye bazar udasi ka hai

jis taraf dekhiye bāzār udāsī kā hai
shahr meñ kaun ḳharīdār udāsī kā hai

ab to āñkhoñ meñ bhī aañsū nahīñ aate mere
ye alag ruup mire yaar udāsī kā hai

ruuh bechārī pareshāñ hai kahāñ jaa.e ab
is qadar jism pe ab baar udāsī kā hai

apne hone kā gumāñ tak nahīñ hotā mujh ko
jaane ye kaun sā me.aar udāsī kā hai

ab ye ehsās hamesha mujhe hotā hai dost
mujh meñ ik shaḳhs talabgār udāsī kā hai

aa.ina dekh ke ma.alūm huā hai mujh ko
zaḳhm chehre pe bhī is baar udāsī kā hai

ye udāsī mujhe tanhā nahīñ rahne detī
haañ tire ba.ad ye upkār udāsī kā hai

SHER OF Inaam azmi

No Sher found for this poet.

E-BOOKS

No E-Books found for this poet.