1993
One of the prominent contemporary ghazal poets 29 GHAZAL6 NAZM3...Real Name: Ashu Mishra
Born: 1993
Ashu Mishra was born on May 4, 1993 in the literary city of Badaun in Uttar Pradesh. He is currently based in Bareilly. A graduate in computer science. With a bent towards poetry and philosophy since childhood, he pursued an MA in Philosophy and is currently preparing for a PhD. Ashu Mishra is a young poet who has almost instantly established his unique identity on the literary scene based on his unique expression, breadth of ideas, and artistic abilities. His poetry is a palette of social, cultural, romantic, and critical motifs. He is dexterous at composing Nazms, but it is his signature Ghazal composition which is unusually unique. His Ghazals have come to notice in the selective works titled, ‘Qafila-e-Nau-Bahaar’, published by Rekhta, encompassing the best writings of young poets.
GHAZAL OF Ashu Mishra
jahāñ se aa ga.e haiñ us jahāñ kī yaad aatī hai
ki ham uryāñ-saroñ ko sā.ebāñ kī yaad aatī hai
jahān-e-mahfil-e-shab meñ sabhī āñkheñ bhigote haiñ
sabhī ko apne apne raftagāñ kī yaad aatī hai
vahāñ jab tak rahe tab tak yahāñ kī fikr rahtī thī
yahāñ jab aa ga.e haiñ to vahāñ kī yaad aatī hai
ye shahr-e-ajnabī meñ ab kise jā kar batā.eñ ham
kahāñ ke rahne vaale haiñ kahāñ kī yaad aatī hai
koī aa kar nahīñ jaatā diloñ ke āshiyānoñ se
rihā.ī kā koī rasta nahīñ in qaid-ḳhānoñ se
machhere kashtiyoñ meñ baiTh kar ke gā rahe haiñ giit
havā.eñ muskurā kar mil rahī haiñ bādbānoñ se
zamīñ vāloñ ne jab se āsmāñ kī or dekhā hai
parinde ḳhauf khāne lag ga.e ūñchī uḌānoñ se
ye sūkhe zaḳhm haiñ yā rang haiñ tasvīr maazī ke
mujhe guzre zamāne yaad aa.e in nishānoñ se
hameñ apnī laḌā.ī is zamīñ par ḳhud hī laḌnī hai
farishte to nahīñ aane yahāñ par āsmānoñ se
tumhārā dil yahāñ par kho gayā to kaisī hairat hai
barelī meñ to jhumke tak nikal jaate haiñ kānoñ se
baiThnā sāhil pe dariyā kī ravānī dekhnā
aur ḳhālī vaqt meñ filmeñ purānī dekhnā
dekhnā chāho udāsī meñ shajar Duube hue
tum parindoñ kī kabhī naql-e-makānī dekhnā
intihā.ī sukh kihīñ āñkhoñ meñ mere ḳhvāb hoñ
intihā.ī dukh unhīñ āñkhoñ meñ paanī dekhnā
roz so jaanā falak kī vus.atoñ ko oḌh kar
roz ḳhvāboñ meñ zamīñ kī be-karānī dekhnā
tai huā hai aa.egā vo milne aadhī raat ko
niim shab meñ aap nūr-e-kahkashānī dekhnā
tamām muddat mirā ye shikva rahā kiran se
ki us ne mujh par nazar na Daalī kabhī gagan se
purānī chāhat ke zaḳhm ab tak bhare nahīñ haiñ
aur ek laḌkī paḌī hai pīchhe baḌe jatan se
maiñ zindagī kā diyā jalā kar ke jiyūñ hī palTā
tabhī achānak havā.eñ chal diiñ qazā ke ban se
vo māh-pāra milan se pahle bahut ḳhafā thī
ab us ke bose chhuTā rahā huuñ maiñ is badan se
mujhe asīrī meñ lutf aane lagā thā yaaro
maiñ dhun banātā thā beḌiyoñ kī khanan khanan se
hamāre sar pe tab koī jahāñ hotā nahīñ thā
zamīñ hotī thī lekin āsmāñ hotā nahīñ thā
ham aksar khel meñ haare haiñ us se is tarah bhī
vahīñ par DhūñDte the vo jahāñ hotā nahīñ thā
nikalte the hamāre baat ke matlab hazāroñ
jo kahnā chāhte the vo bayāñ hotā nahīñ thā
maiñ ḳhālī vaqt meñ TuuTe sitāre joḌtā thā
tumhārā hijr aisā rā.egāñ hotā nahīñ thā
ḳhudā bhī saath rahtā thā hamāre is zamīñ par
ye tab kī baat hai jab āsmāñ hotā nahīñ thā
hamārī qurbateñ kyā thiiñ faqat ik vāqi.a thiiñ
aur aisā vāqi.a jo dāstāñ hotā nahīñ thā
SHER OF Ashu Mishra
No Sher found for this poet.