Poet

Bushra Farrukh

1945

1  SHER1  GHAZAL

Real Name: Bushra Farrukh

Born: 1945

GHAZAL OF Bushra Farrukh

ba-zahir tujhse milne ka koi imkan nahin hai

ba-zāhir tujh se milne kā koī imkāñ nahīñ hai
dilāsoñ se bahaltā ye dil-e-nādāñ nahīñ hai

chaman meñ laakh bhī barse agar abr-e-bahārāñ
to naḳhl-e-dil harā hone kā kuchh imkāñ nahīñ hai

havā-e-vaqt ne jis basti-e-dil ko ujāḌā hai
use ābād karnā kaam kuchh āsāñ nahīñ hai

vo ik dīvār hai haa.il hamāre darmiyāñ jo
kisī rauzan kā us meñ ab koī imkāñ nahīñ hai

agarche khā ga.ī dīmak ġhamoñ kī bām-o-dar ko
magar TuuTī abhī tak ye fasīl-e-jāñ nahīñ hai

tumhārī ruuh ‘bushrā’ qaid hai tan ke qafas meñ
ise āzād karnā mo.ajaza āsāñ nahīñ hai

SHER OF Bushra Farrukh

No Sher found for this poet.

E-BOOKS

No E-Books found for this poet.