1967
5 SHER4 GHAZAL1 E-BOOKReal Name: Bushra Hashmi
Born: 1967
GHAZAL OF Bushra Hashmi
āñkhoñ ko ab nigāh kī aadat nahīñ rahī
ab kuchh bhī dekhne kī zarūrat nahīñ rahī
sachchā.iyoñ kī raah bahut ho ga.ī kaThin
is rāste pe chalne kī himmat nahīñ rahī
dushman ho dost ho koī apnā ki ġhair ho
ham ko to ab kisī kī bhī hājat nahīñ rahī
duniyā azīz-tar rahī ik arsa-e-darāz
lekin ab is kī bhī to mohabbat nahīñ rahī
arsa huā kisī ne pukārā nahīñ mujhe
shāyad kisī ko merī zarūrat nahīñ rahī
kāñTā sā ek dil meñ khaTaktā hai mustaqil
par dil kī baat kahne kī aadat nahīñ rahī
sarmāya-e-hayāt huā chāhtā hai ḳhatm
jis par ġhurūr thā vahī daulat nahīñ rahī
‘bushrā’ kabhī jo jaao vahāñ arz-e-hāl ko
kahnā ki ham pe ab vo ināyat nahīñ rahī
sar-e-dasht dil jo sarāb thā koī ḳhvāb thā
mirī ḳhvāhishoñ kā azaab thā koī ḳhvāb thā
tirī ḳhushbuoñ kī talāsh meñ mirā rāz-dāñ
vahī ek kunj-e-gulāb thā koī ḳhvāb thā
vo jo chāñd thā sar-e-āsmāñ koī yaad thī
jo guloñ pe ahd-e-shabāb thā koī ḳhvāb thā
jo na kaT sakā vo nishān thā kisī zaḳhm kā
jo na mil sakā vo sarāb thā koī ḳhvāb thā
dil ke zaḳhmoñ kī chubhan dīda-e-tar se pūchho
mere ashkoñ kā hai kyā mol guhar se pūchho
ghar jalā baiThe charāġhoñ kī havas meñ āḳhir
ghar kī qīmat to kisī ḳhāk-basar se pūchho
ye to ma.alūm hai maiñ samt-e-safar kho baiThī
tum isī baat ko andāz-e-digar se pūchho
ret uḌtī hai sujhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
kaT sakegī kabhī ye raat sahar se pūchho
yuuñ to majnūñ bhī huā kohkan o mansūr hue
ghāyal ab kaun huā tīr-e-nazar se pūchho
log kahte haiñ mujhe sañg-e-sar-e-rah ‘bushrā’
qadr-o-qīmat mirī kuchh ahl-e-hunar se pūchho
abhī bādaloñ kā safar kahāñ mire mehrbāñ
abhī qaid huuñ sar-e-āshiyāñ mire mehrbāñ
rahe fāsle mirī dastaras meñ tamām din
magar ab to shaam kā hai samāñ mire mehrbāñ
sabhī pursish-e-ġham-e-jāñ ke vāste aa.e the
mire chārāgar mire nauha-ḳhvāñ mire mehrbāñ
vahī lafz haiñ durr-e-be-bahā mire vāste
jinheñ chhū ga.ī ho tirī zabāñ mire mehrbāñ
sabhī marhale rah-e-shauq ke the nigāh meñ
mire hausle rahe nā-tavāñ mire mehrbāñ
kabhī gardish-e-shab-o-roz se na amaañ milī
mire sar pe kab na thā āsmāñ mire mehrbāñ
SHER OF Bushra Hashmi
No Sher found for this poet.
E-BOOKS
No E-Books found for this poet.