1989
15 GHAZALReal Name: Bushra Masuud
Born: 1989
GHAZAL OF Bushra Masuud
āḳhirī hal thā yahī pesh-e-nazar jaane diyā
ek gahrī saañs lī phir ḳhvāb mar jaane diyā
sārbānā de gavāhī mujh ko pyārī thī anā
rakh liyā zād-e-safar aur ham-safar jaane diyā
hazrat-e-nāseh kī ḳhush-uftādgī pe daad hai
ḳhud jidhar se aa.e the sab ko udhar jaane diyā
is harīm-e-nāz meñ yuuñ be-mahābā guftugū
kuchh bharam rakkhā to hotā tum ko gar jaane diyā
tujh ko rokā jā rahā thā raushnī thī jab talak
shaam ke Dhalte samay sūraj ko ghar jaane diyā
aañkh sapne dekhtī thī āñsuoñ se kyoñ bharī
chāhtī to pūchh letī maiñ magar jaane diyā
dostā qismat na ho to koshisheñ bekār haiñ
sabr kā paimāna ham ne ḳhud hī bhar jaane diyā
dil musir thā bārhā kuchh jāñchne ko ruk ga.e
āḳhirash us ne hameñ bār-e-digar jaane diyā
shikva-e-dil nahīñ kareñge ham
zard mausam meñ khil uTheñge ham
apnī vāraftagī na jā.egī
tum se ik roz aa mileñge ham
guhar-āsār ābgīnoñ ko
gaahe hasrat se dekh leñge ham
ḳhvāb-dar-ḳhvāb kuchh charāġhoñ meñ
raushnī DhūñDte raheñge ham
oḌh lenī hai phir ridā-e-sukūt
chīḳh chillā ke thak chukeñge ham
baat kyūñkar samajh na aa.egī
is tayaqqun se gar kaheñge ham
ik nazar aur dekh lo ham ko
yuuñ dubāra nahīñ sajeñge ham
ḳhat meñ likkhā hai hameñ ab lauT aanā chāhiye
kyā kaheñ ki lauTne ko ik zamāna chāhiye
ā.ina-sāzī miyāñ ajdād kī mīrās hai
tum batāoge mujhe kaise banānā chāhiye
dahr kī hairat-sarā meñ ab taġhayyur hai bapā
ik pasandīda sitāra jagmagānā chāhiye
hamdam-e-kohna sahī ġham-hā-e-qalb-e-sad-figār
ḳhvāb-parvar sā’atoñ meñ bhuul jaanā chāhiye
ḳhvāb kī tā’bīr chāhe dil-shikan hī kyoñ na ho
aañkh meñ jalte diyoñ ko jhilmilānā chāhiye
rang aañsū hañsī samajhte the
tum mirī an-kahī samajhte the
sirf sohbat kā faiz hai varna
ḳhaak ham zindagī samajhte the
dil-mohalle ko chhoḌne vaale
saañs kī symphony samajhte the
ḳhalvat-e-jāñ meñ bazm-ārā.ī
dasht ko qais hī samajhte the
nāsehā ek daur thā ham bhī
‘ishq ko dil-lagī samajhte the
ab jo samjhe nahīñ gila kaisā
aap pahle kabhī samajhte the
dāman-e-koh-e-ġham ke bāshinde
dāstān-e-ḳhafī samajhte the
‘ajab tarah kī masāfateñ haiñ muqaddaroñ meñ
na qurbatoñ meñ sukūn paayā na fāsloñ meñ
sunahrī jhīloñ meñ ‘aks paḌte the parbatoñ ke
abhī farozāñ haiñ saare manzar basāratoñ meñ
use na fursat milegī daftar se dostoñ se
ham apne aañsū chhupā.e baiThe saheliyoñ meñ
ragoñ meñ paiham ravāñ hai ambar-fashāñ mohabbat
kisī ke bāloñ kā lams zinda hai uñgliyoñ meñ
do sā’atoñ meñ simaT ga.ī dāstāñ hamārī
phisal ga.ī hai jo ret baaqī thī muTThiyoñ meñ
na phuul jaise hasīñ farishtoñ ke par tarāsho
na zahr gholo abhī se kachchī samā’atoñ meñ
koī pahlū bhī ab nayā nahīñ hai
baat karne ko kuchh bachā nahīñ hai
ham tujhe dekhne ko tarse haiñ
aur tū jaan kar milā nahīñ hai
ek chiḌiyā ke āshiyāne ko
shahr bhar meñ kahīñ jagah nahīñ hai
saiñkaḌoñ alvidā’ī sandese
aur vo aaj tak gayā nahīñ hai
jab bhī chāhoge chhoḌ doge miyāñ
shā’irī hai koī nasha nahīñ hai
aaj bhī ḳhair kī ḳhabar na milī
aur aage bhī aasrā nahīñ hai
baap jaisā shafīq āñgan thā
ab mirā us se vāsta nahīñ hai
dil-zadoñ ke liye shifā kī du’ā
mo’jiza ho koī davā nahīñ hai
terī qudrat ke mo’tarif ke liye
ism-e-ā’zam hai muktashif ke liye
ā.ina-vār jhilmilā.e haiñ
apne mā’kūs-o-mun’atif ke liye
koī jā-e-sukūn hai ki nahīñ
rasm-e-kohna ke munharif ke liye
mustaqil ik javāb lā-ā’raf
vo bhī ik rāz-e-munkashif ke liye
mann-o-salvā utarne vaalā thā
dasht-e-imkāñ ke mo’takif ke liye
SHER OF Bushra Masuud
No Sher found for this poet.
E-BOOKS
No E-Books found for this poet.