jo un ko lipTā ke gaal chūmā hayā se aane lagā pasīna huī hai bosoñ kī garm bhaTTī khiñche na kyūñkar sharāb-e-āriz
agarche vo be-parda aa.e hue haiñ chhupāne kī chīzeñ chhupā.e hue haiñ
pyaar apne pe jo aatā hai to kyā karte haiñ ā.īna dekh ke muñh chuum liyā karte haiñ
pata kaise hoñ āḳhir hijr ke asbāb duniyā ko tire hoñToñ pe ḳhāmoshī mire hālāt poshīda
tumhāre ġham kī udāsī qalīl karte hue maiñ jī rahā huuñ mohabbat tavīl karte hue
unheñ yaqīñ ki koī ranj-o-ġham nahīñ mujh ko mujhe bharam ki mirā mas.ala samajhte haiñ
umr-bhar un se ta’alluq nahīñ TuuTā kartā aise kuchh log haiñ jo dil meñ utar jaate haiñ
tumhāre baad ye ġham bhī uThānā paḌtā hai ḳhushī mile na mile muskurānā paḌtā hai
tishnagī aa tujhe dariyā ke havāle kar duuñ tujh ko is haal meñ pyāsā nahīñ dekhā jaatā
sarsarī ‘mīr’ kā dīvān nahīñ khultā hai muḳhtasar khulne meñ insān nahīñ khultā hai
gulāb ḳhvāb sitāre dhanak udaas charāġh paḌī hai fasl-e-mohabbat kaTī-kaTā.ī sabā
uThā ke haath duā māñgne lage haiñ charāġh to kar rahī hai bhalā kaisī rahnumā.ī sabā
kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ hī Thiik haiñ
ho na paa.e jab mukammal ishq kā qissa to phir shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ hī Thiik haiñ